Unfortunately Google Play Store Has Stopped Error Ko Kaise Thik Kare?

Dosto, Namaskar ! Aaj ke iss topic me Hm android google play store se related jankari ke bare me janne wale hai. Sabse pahle to ye jan lete hai ki google play store kya hai. Dosto google play store ek apps hai ek area hai jaha par sabhi android device ke apps online store hote hai. jisse ham kisi bhi apps ko download karke apne android device me install kar sakte hai. Kabhi kabhi ham mobile ko format kar dete hai ya kisi aur karan se hamara google play store stopped ho jata hai aur hamko message deta hai Unfortunately google play store has stopped to aaj ham isi error ko thik karne ke tips batane wale hai. Iss error ko thik karne ke liye bahut sare mobile me google play store ke app info me jakar ke clear data karne ke baad bhi thik ho jata hai aur jis mobile me aise thik nahi ho pata hai usi ke liye ham ye tips lekar aaye hai.

unfortunately google play store has stopped message ko kaise thik kare-min

Google Play Store Error Message Ko Kaise Thik Kare?

Unfortunately google play store has stopped message ko thik karne ke liye aapko apne mobile ko format karna hoga . Dosto mai ye bhi bata du ki ye kabhi kabhi koi mobile me apne se bhi thik ho jata hai ya to clear data uske baad clear cache karne se bhi thik ho jata hai lekin dosto maine bhi yhi kiya tha parantu mere mobile ka error message thik nahi hua isiliye hamko mobile ko format karna pada. To steps dekhiye aur apne error ko thik kijiye.

  1. Sabse Pahle apne important data ko mobile ke memory card me backup bana le.                                                                                                                     
  2. Uske baad apne mobile ko format karne ki vidhi se format kar le ya factory reset bhi kar sakte hai. Factory reset karne ke liye apne android ke setting me jaye uske baad backup and reset option me jaye aur factory reset par click kar de aur phir mobile ke on hone tak wait kare.            
  3. Ab google play store ko open karke apne gmail account se connect kare. Uske baad aap apna google play store apps check kare ki sahi se work kar rha hai ya nahi.
Mujhe umeed hai dosto agar aapke mobile me ye problem hoga to ab tak ye thik ho gya hoga. agar isse related koi bhi swal puchna chahate hai to aap hame comment box ke throgh bheje ham aapke swal ka jawab dene ki koshish karunga. Thank You Visit Again.
Unfortunately Google Play Store Has Stopped Error Ko Kaise Thik Kare? Unfortunately Google Play Store Has Stopped Error Ko Kaise Thik Kare? Reviewed by Anonymous on June 17, 2017 Rating: 5

1 comment:

  1. Nice And Very useful info,
    This article important and really good the for me is.Keep it up and thanks to the writer.Amazing write-up,Great article. Thanks!
    used to really good
    your info is quite helpful to forever.Blogging

    ReplyDelete

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.