Adsense Par Account Kaise Banaye?

Dosto, Namaskar ! Aaj ki iss post me ham discuss karne wale hai ki blogger me adsense account kaise banate hai ya agar aap blogger se adsense account nahi bnana chahte hai to Direct adsense par account kaise banaye ki jankari ham dene wale hai. Dosto log blogging karte hai apne interest ke liye aur interest ke sath sath sochte hai ki kuchh earning bhi ho jaye isiliye apne blog ya website par ads dikhate hai aur unhe ads dikhane ka paisa milta hai. Iss article me ham bahut se bate karne wale hai ki Google Adsense kya hai. Isse kaise earning hoti hai. Isme kaise account banate hai bahut sara bat batane wale hai. Iss post ko dhyan se padhe.

Adsense-par-account-kaise-banaye-min

Google Adsense Kya Hai?

Google Adsense google ka ek product hai jaha par advertiser (Jo ki apne business ko promote karne ke liye ads deta hai aur google ko wo paisa bhi pay karta hai ) apne business ko promote karne ke liye google ko paise deta hai aur google uske business ko online website par show karake pure world me show karata hai. Isse Google company, Advertisers aur bloggers tino ko fayda hota hai. Advertisers ka business promote ho jata hai. Bloggers apne website par ads ko show karake google se paise earn kar sakte hai. Aur jo paisa advertisers google ko deta hai usme se kuchh paisa google apne pas rakhke baki ko blogger ko de deta hai.

Google Adsense Se Kaise Paisa Earn Kar Sakte Hai?

Google Adsense se bloggers apne website par ads show karake paisa earn kar sakte hai. Dosto ye hi ek aisa ads network hai jo ki sabse jyada paisa deta hai. Google Adsense par account bnana abhi tak free hai iske koi charge nahi lagte hai. Yah hame paisa deta hai jab hamare website par koi visitors visit karta hai aur usko ads pasand aata hai us par click karta hai to usse hame earn hoti hai.

Google Adsense Par Account Kaise Banate Hai?

Google Adsense par account bnane do tariko se ham batane wale hai pahla tarika hai blogger.com se aur dusra tarika hai direct google adsense ke website se.

Blogger Me Google Adsense Account Kaise Banaye?

Blogger me google adsense account bnane ke liye aapka blog 6 month old hona chahiye tabhi blogger aapko qualify karega google adsense ke liye. Dekhiye steps : -

STEP 1: Sabse pahle blogger.com par chale jaye.

STEP 2 : Uske baad Dashboard me Earning Par Click Kare aur Uske Baad Sign Up for adsense par click kare.

earning-and-sign-up-for-adsense-min


STEP 3 : Ab uske baad Sign In par click kare ab aapke samne ek naya window open hoga

sign-in-for-adsense-min


STEP 4 : New Window me aap apna content language select kare ki aap apne blog par kis language me post karte hai. Aur uske baad Accept accociation par click kare.

select-content-language-and-then-click-association-min


STEP 5 : Ab uske baad aapko apna information fillup karna hai apna sahi sahi information fillup kare jaisa image me dikhaya gya hai.

applying-form-of-google-adsense-indiameearn-min


STEP 6 : Ab uske baad Submit my application par click kare.

Direct Adsense Par Account Kaise Banaye?

Dosto direct Adsense par account banane ke liye aapko Adsense ke website par jana hoga uske baad sign up now par click karna hoga uske baad same upar wala hi process follow karna hoga aur ha isme aapko apka website ya youtube channel ka URL mangega to use sahi sahi fill karke aage badhe.
Mai aasha karta hu ki aapka google adsense account ban gaya hoga agar isse related koi bhi sawal ho to hamse comment me jarur puchhe hum aapke sawal ka jawab dene ki koshish karenge. Aur adsense account simple tarika se approve karane ke liye niche ke post ko padhe ya click here
Adsense Par Account Kaise Banaye? Adsense Par Account Kaise Banaye? Reviewed by Anonymous on June 17, 2017 Rating: 5

No comments:

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.