Aaj mai is post ke jariye btane wala hu ki SBI Missed Call Banking Kaise Regiter kare. Jaisa ki aap sab jante honge ki SBI india ka sabse bda bank mana jata hai jisme sabka account hota hai lekin logo ko ye problem hota hai ki account balance check karne ke liye ATM jana padta hai jisse time ka wastage hota hai isiliye aaj ham aapko btayenge ki aap apne mobile se kaise account balance check kare.
Read Also : Computer Se Temporarry File Kaise Record Kare
SBI Missed Call Banking Kaise Register Kare (How To Register SBI Missed Call Banking)
Aapko missed call banking register krne ke liye us number ki jarurat hoti hai jo ki aapke account se link hai. Dosto hm ye bhi bta de ki bhut sare log nye hote hai jo ki missed call banking kya hota hai ye nhi jante hai. To janiye missed call banking bank ke dwara provide kiya gya hota hai jisse aap apne registered mobile number se missed call kar ke apne account ke bare me jankari le skte hai.
Read Also : Blogger Me Free Website Kaise Banaye
Mobile number register karne ka upay 'REG (space) Account number' apne mobile ke message box me type kare or 09223488888 par send kar de jisse aapko mobile se 1.50 rupya charge lgega.
Read Also : computer screen ko kaise record kare
- Ab aapko message milega ki aapka mobile number register ho chuka hai.
- Ab aap 09223766666 par missed call karke apne account balance ki jankari le skte hai iske liye koi charge nhi lgega.
- Last five transaction ke bare me janne ke liye 09223866666 par missed ccall kr skte hai ya "MSTMT" apne message me type karke 09223866666 par send kar skte hai.
- Aap apna ATM card block kra skte hai uske liye aapko sms send karna hoga. "BLOCK XXXX" to 567676 yha xxxx ka matalab hai aapke ATM ka last four digit hoga (Card number)
- Aap apna mobile number deregister bhi kra skte hai iske liye message send krna hoga "DREG account number" or 09223488888 par send kar de. jaise ki "DREG 1235456782".
Read Also : Whatsapp Me GIF Animation Image Kaise Bnaye
I hope ki aapko ye post bhut pasand aya hoga. ise apne dosto ke sath jrur share kre or agar isse related koi bhi swal ho to comment box ke through jrur puche. Thanks!
SBI Missed Call Banking Kaise Register Kare?
Reviewed by Sumit Kumar Software Developer
on
December 16, 2016
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare