5 mistakes jo ki naye blogger kar baithte hai?

Namaskar Dosto ! AAJ ke iss article me ham batane wale hai ki 5 mistakes jo ki naye blogger kar baithte hai aur baad me pachhtana pad jata hai. Isiliye blogging start karne se pahle blogging ke bare me puri tarah ki jankari prapt kar le uske baad hi blogging ki duniya me kadam rakhe apna career banaye. AAj mai aapko ye 5 mistakes ke bare me bata raha hu jo blogger ko nahi karna chahiye nahi to wo kabhi success nahi kar payenge. Mai bhi pahle ye 5 mistakes kar chuka hu isiliye maine socha ki ek post likha jaye jisse new blogger ko suvidha mil jaye.


5 mistakes jo ki naye blogger kar dete hai

5 mistakes jo ki blogger ko bahi karna chahiye?

1. Template changing

Bahut se blogger template ko bar bar change karte rahte hai aur isi karan se google unki blog ko remove kar deti hai aur baad me wo search karne lagte hai ki kyo hamare website ko google show nahi kar rha hai. New blogger dusre ke blog ko dekhte hai aur wo template unko pasand aa jata hai aur wo bhi apna template ko change karne lagte hai iss karan se google ke index me affect padta hai aur blog ko remove kar diya jata hai. Isiliye iss bat ka hamesha dhyan rakhe ki jo bhi template lagana ho ek hi bar shuru me soch samajh kar lagaye.

2. COPY KARNA

New blogger ke pass post likhne ke bare me jankari nahi hoti hai wo sochte hai ki post kis chij par likhu kaha se likhu aur wo dusre ke blog se copy karke apne blog me post kar dete hai. Ye bhi ek bahut badi mistakes hai jo blogger ko nahi karna chahiye. Khud se soch samjhkar post likhna chahiye. Aur mai ye bhi bata du ki mere ek viewers ne hamse puchha ki aap post kaha se likhte hai to dosto mai aapko ye batana chahunga ki agar aap blogger ki duniya me kadam rakhenge to apne aap apke mind me swal utpan hoga aur uska jawab bhi aapke pas hoga bas usi ko likh kar post kar de.

3. STATUS CHECK KARNA


New blogger bar bar apne blog ke status ko check karte rahte hai aur iska affect ye hota hai ki unke man me baith jata hai ki hmara blog nahi chlega ya aise waise. Isiliye bar bar status chekck karke khud ko untrust na kare ya bar bar apna alexa rank check na kare. Dosto kaha gya hai na ki mehanat kijiye mehnat kabhi bekar nahi jata hai mehanat ka fal hamesha mitha hota hai. Isliye status par dhyan na de aur pure mehanat se lagan se kam kare.


4. KEYWORD

New blogger ko keyword ke bare me pata nahi hota hai to wo bina keyword ko parkhe bina research kiye post kar dete hai aur kahate hai ki hmare 100 post hai fir bhi visitors nahi aa rahe hai isiliye pahle jo post likh rahe hai uske bare me acchi tarah se soch samjh kar keyword ko janch kar hi post likhe. Post likhne se pahle ye dhayan de ki kahi jo aap post likh rahe hai wo pahle se bahut saree blogger ne post kar chuka hai to dosto aisi isthiti me aapko unse kuchh jyada achha likhna hoga tabhi jakar google ke first page me aapka post show hoga. Aur unique post likhne se visitors jyada aate hai nahi to pahle se bahut sare website par content available hai aur us par hi aap post kijiyega to visitors nahi aa payenge.

5. IMAGE SIZE


New blogger image ko dusre blog se save karke apne blog me laga dete hai jo ki google ke policy and terms ke khilaf hai. To user ko apne hisab se image ko edit karke hi apne blog me upload karna chahiye aur image ka size bhi jayada nahi hana chahiye isse SEO par affect padta hai. Mai bahut jald hi post likhunga ki image size ko compress kaise kare aise me ham bata de ki image size compress karne ke ek bahut hi achha website hai compress.png 



To dosto ab to apko pata chal hi gya hoga ki bahut sare blogger kyo fail kar jate hai success nahi kar pate hai. Success karne ke liye mehnat krna hoga.
5 mistakes jo ki naye blogger kar baithte hai? 5 mistakes jo ki naye blogger kar baithte hai? Reviewed by Anonymous on June 16, 2017 Rating: 5

No comments:

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.