Apne Blog Me Pop-up Subscription Box Kaise Lagaye?

Namaskar Dosto ! Aaj ke iss post me hum discuss karne wale hai apne blog me pop-up subscription box kaise lagaye? Jise log News-Letter ke naam se bhi jante hai . Sabse pahle jan lete hai ki News letter subscription kya hai aur ise lagane se kya fayda hai. TO dosto, Newsletter subscription ek bahut hi achha option hota hai jisme koi bhi visitors apne email ke dwara subscribe karke hamare daily ke post ko prapt kar sakata hai jis prakar youtube par subscribe ka option hota hai thik usi prakar ye bhi option hai. Isko apne blog par lagane se visitors ki sankhya me increment ho sakta hai.

apne-blog-me-popup-subscription-box-kaise-lagaye-min

Blog Me Pop-up Subscription Box Kaise Lagaye?

Blog me pop-up subscription box lagane ke liye aapko kuchh steps follow karne honge 

STEP 1 : Sabse Pahle aapko sumome ke official website par jana hoga click here to go to sumome

STEP 2 : Ab uske baad aapko apna website ka URL copy karke diye huwe box me enter karna hai aur uske baad Try it now par click kare

enter-your-website-url-and-click-try-it-now
STEP 3 : Ab uske baad aapke samne ek pop-up window open hogi jisme apna email aur new password enter karke account create karna hai

enter-your-email-and-new-password


STEP 4 : Ab uske baad aapke samne code show honge us code ko copy karna hai.

copy-the-code


STEP 5 : Ab apne blogger ke dashboard me jana hai aur uske baad theme par click karna hai aur edit HTML par click karna hai.

theme-edit-html


STEP 6 : uske baad apne code ke bich mouse ke cursor ko press karke ctrl + F press karna hai aur <head> tag search karna hai.


search-head-tag-and-paste-the-code


STEP 7 : Ab uske baad <head> tag ke niche copy kiya hua code ko paste karna hai.
STEP 8 : Uske baad Save Theme par click karna hai.

STEP 9 : Uske baad Start Using Sumo Par Click karna hai sumo ke website me sabse niche diya gaya hai

STEP 10 : Ab uske baad aap jo bhi option chahte hai to use on kar sakte hai yaha par email subsciption ke liye List Builder ko on kar le aur agar aapko share button lagane hai to Share option ko on kar sakte hai.

on-share-button


STEP 11 : Ab uske baad apne blog ko new window me open kijiye aur uske baad refresh kare.
Dosto mujhe umeed hai ki ye post aapke liye bahut hi helpful sabit huyi hogi. Agar isse related koi bhi sawal ho to hamse jarur puchhe ham aapke sawal ka jawab dene ki koshish karenge. Thank you Visit Again.

Apne Blog Me Pop-up Subscription Box Kaise Lagaye? Apne Blog Me Pop-up Subscription Box Kaise Lagaye? Reviewed by Anonymous on June 17, 2017 Rating: 5

No comments:

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.