Dosto, Quick edit
icon ek image hoti hai jo ki blogger blog ke page me show hoti hai. Isse yhi
fayda hota hai ki blog owner us par click karke apne blog me widget ke code ko
change kar sakta hai bina blogger.com par gaye huwe. To dosto ye to owner ke
liye achha hota hai lekin readers ke liye achha nahi hota hai. Isse aapka blog
template bhi kharab dikhne lgta hai aur sath hi sath iss image ko upload hone
ke karan aapka blog page bhi der se open hota hai. Yaha der se khne ka matlab
ki kuchh tim leta hai quick edit icon aapke readers ke pas show hone me. Yah SEO ke najariye se achha nahi hai kyoki
SEO khta hai ki aapka blog page
loading bhut fast hona chahiye. Lekin yah icon ke karan aapka blog loading time
jyada ho jata hai yani ki blog loading time slow ho jata hai or aise me aapke
readers itne der tak wait nahi kar sakte koi dusra blog open karke wo apna kam
kar lenge.
To dosto aapne quick edit icon ke fayda or nuksaan ke
bare me upar padh liya ab dekhte hai ki quick edit icon ko kaise remove kiya
jay blog se.
Read Also : Custom domain godaddy se kaise kharide?
Blogger se quick edit icon ko kaise remove kare?
dosto, quick edit icon remove krne ka do tarika hai jo ki ham is post me share kiye hai. Lekin hm aaplogo ko suggest krunga ki aap dusra wala tarika hi use kare kyoki wo bahut hi aasan hai.
Read Also : Blog Sitemap Ko Google Search Console Me Kaise Submit Kare?
Read Also : blogger me custom domain lgane ke bad adsense ke account ko kaise upgrade kare?
Edit pencil icon ko htane se pahle kya kare?
- dosto, quick edit icon htane ke liye sabse pahle aapko apne blogger.com page me jana hoga aur wha par login karke dashboard me Layout par click karna hoga
- uske baad Post Widget Ke Edit option par click kare
- ab aapke samne ek new window open hogi jisme se aap Quick Edit ke tick ko hta de aur fir Save par click kar de
- iss tarah aap apne blog se quick edit pencil icon ko hta sakte hai lekin ab hme skrew driver ko htana hai uske liye aage padhte rahiye or share jarur kare
completely quick edit icon ko blog se kaise htaye?
Dosto, jaisa ki aapne upar me padha ki icon ko hatane ke
do tarike hote ha. Dono tariko ko ham bari bari se batane wale hai.
Read Also : Blogger Se Country Domain Kaise Hataye?
Read Also : Blog Post Ko 30 Second Me Google Search Me Kaise Laye?
Edit icon hatane ka pahla tarika:
- Sabse pahle apne blog dashboard me Template par uske baad edit HTML par click kare
- Ab code ke bich me kahi bhi mouse pointer rakhkar “CTRL + F” press kare aur jo box open hoga usme “quicked” likhkar enter press kare.
- Ab jha jha aapko “quicked” show hoga use delete kar de or uske baad Save Template par click kar de
Edit icon htane ka dusra tarika:
Dusra tarika sabse aasan hai isme aapko 1 line copy paste
karna hai. To chaliye iska step bhi dekh lete hai.
- Sabse pahle blogger dashboard me jakar Template aur uske baad Edit HTML par click kare
- Ab code ke bich me kahi bhi mouse pointer rakhkar “CTRL + F” press kare aur jo box open hoga usme “<b:skin>” likhkar enter press kare.
- Ab aapko niche ke code ko copy karke <b:skin> or </b:skin> ke bich me paste karna hai jaisa ki image me show ho rha hai
- Ab Save Template par click kar de
Read Also :Blog Ka Traffic Kaise Badhaye?
Dosto ye 2 tariko se ham quick edit icon ko hta sakte
hai. Dosto, agar ye post aapko achha lga ho to share jarur kare aur agar aapko
isse related koi problem ho to comment ke through hme jarur bataye ham usko
jarur solve karne ka koshish karenge.
Blogger blog me se quick edit icon kaise hataye?
Reviewed by Anonymous
on
February 22, 2017
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare