Dosto, namaskar! aaj mai iss post ke jariye bahut hi badi jankari dene wala hu isiliye ise dhyan se padhe or samjhe. Aapko to pta hi hoga ki adsense account kya hota hai. Agar nahi to jan lijiye. Adsense google ka ek product hai jaha log apne business ke promotion ke liye ads dete hai aur uske hisab se google ko paise dete hai. vahi ads hame apne website par show krane ke liye google adsense hame deta hai aur uske hisab se hame paisa deta hai. Agar aapko nahi pta ki gooogle adsense account kaise bnaye blogger se to niche ka post jarur padhe.
Read Also : Blogger me adsense account kaise banaye?
aapko to pata hi hoga ki adsense account kitna restrict hota hai aur ise india me approve karana bahut hi muskil hai. Lekin ham iss muskil ko dur karne wale hai.
Bcasoftpro Ki Kahani Usi Ki Jubani
Dosto, maine Bcasoftpro ki suruwat 2013 me ki thi jo ki uss samay free chalta tha yani ki iska address tha www.bcasoftpro.blogspot.com. To dosto 1 year baad hmne adsense account ke liye apply kiya or mera adsense bhi approve ho gya. Jante hai dosto hme us samay blogging ke bare me kuchh bhi nahi pta tha kewal mai logo ko help karne ke liye ye blog bnaya tha par dosto mai isme kewal copy karke paste kar deta tha yani ki copyright content likhta tha kyoki hmm uss samay english me blogging karte the aur mujhe english nahi aata tha yaha tak ki log mere blog par aate the lekin comment nahi karte the. Fir kuchh din chalte raha fir maine ek blog padha jaha likha hua tha custom domain kyo jaruri hai. To maine ye padhkar apne blog me custom domain lga liya us den 2 may 2016 tha. Fir mere paas na mobile or na hi laptop rha to maine blogging karna chhod diya aur khas bat to ye dosto ki jaise hi hm custom domain lagaya mera google ads website par show hona band kar diya. Fir maine 12 october 2016 ko socha ki mere blog par ads show kyo nahi ho rha hai. To maine ye search karna suru kar diya lekin hindi blog me kahi nahi mila fir english blog me search kiya to mil gya maine wahi tarika apnaya but kuchh din bad adsense message kar raha hai ki aapka approve nahi hoga maine fir se apply kiya fir wahi message diya. Kahte hai na ki himmat nahi harni chahiye maine bhi himmat nahi hara aur lagatar tin bar apply kiya jo ki mera account disapprove hote raha. Uske baad maine fourth bar apply karne se pahle apne sare copyright post ko delete kar diya aur template bhi change kar diya tab jake apply hua or thik usi din approve bhi ho gaya lekin dosto maine bcasoftpro ki website me bahut chhedchhad ki isiliye wo google me search hona band kar diya uske bad maine indiameearn banaya.
Read Also : Blogger me adsense account kaise banaye?
Adsense account approve kaise karaye?
Dosto pahle ye jan lijiye ki adsense account approve karane ke liye traffic ka koi role nahi hota hai. Bahut se blogger kahte hai ki 500 pageviews par day hona chahiye ye galat hai kyoki mera pageviews per day 5 tha.
Read Also : Blogger me custom domain lagane ke baad adsense account ko kaise show karaye?
Read Also : Custom Domain Blog me kaise lagaye?
Adsense account ke liye apply karne se pahle in bato ka dhyan rakhe.
1. Copyright Content
Dosto upar me maine bata diya hai ki ham sabhi copyright content ko delete kiye the tab jakarke mera addsense account approve hua tha. To sabse pahle copyright content ko apne blog se hata de uske baad apply kare
2. Template design
Bahut se blogger kahte hai ki template achha lagao tab hi account approve hoga aisa nahi hai dosto maine bhi template lagaya tha but approve nahi hua uske baad maine blogger ka simple template use kiya to mera adsense account approve ho gya. To mai aapko yahi suggest karunga ki aapke blogger me jo template hai usko pahle aap backup bana le aur uske baad simple template jo ki blogger me pahle se hota hai use use kare.
Read Also : Blogger me template ka backup kaise banaye?
3. Daily Post
Dosto adsense account approve krane ke liye aapko daily kam se kam ek post likhna hoga isse google ko lagega ki ye blog bahut din tak chalega aur aapka adsense account approve ho jayega.
Read Also : Blogger me new post kaise likhe?
4. Post Linking
Post ke bich me dusre post ke link jarur de isse readers ko padhne me aasani hoti hai aur aaoke visitors ki sankhaya bhi badhegi
Read Also : Post ke bich me another post link kaise lagaye?
5. Powered by Blogger
Aapne dekha hoga ki template ke niche powered by blogger likha hua hota hai use na hataye
6. Another ads
Apne blog par adsense account ke approve hone tak kisi dusre ads network ke code ko add na kare kyoki google adsense kisi dusre adsense network ko support nahi karta hai
Dosto ye post khas unlogo ke liye tha jo blogger me naye hote hai aur unka adsense approve nahi hota hai aur vo nirash ho jate hai. To dosto iss post ke anusar follow karne se 90% gurantee hai ki aapka adsense account approve ho hi jayega. Mai aasha karta hu ki aapko ye post bahut achha laga ho aap apna feedback comment ke jariye jarur de.
Adsense Account Approve Karane Ka Simple Tarika Jane.
Reviewed by Anonymous
on
February 22, 2017
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare