Blogger me custom domain name kaise lagaye?



Aaj mai iss post ke jariye batane wala hu ki blogger me custom domain name kaise add kare? Sabse  kamepaahle ye jan lijiye ki custom domain lagane se kya fayda hai? Dosto custom domain lagane se aapka blog ka look professional blog ke jaisa ho jayega yani ki apke blog ka address kisi ko bhi achhe se yad ho sakta hai aur isme se blogspot subdomain remove ho jayega. Custom domain lagane ke liye aapko domain name provider ke dwara domain buy krna hoga agar aapne abhi tak domain nahi liya hai to aap niche ke step ko follow karke custom domain kharid le.


Read Also : Custom domain godaddy se kaise kharide?

Blogger me custom domain kaise lgaye?

Dosto jaisa ki aapne upar me padh hi liya hoga ki blogger me custom domain lgane se kya fayda hai aur sath hi sath ye bhi jan lijiye ki custom domain lgane ke bad aapke visitors ki sankhya badh sakti hai. Custom domain add karne ke liye kuchh spep apko follow karne hai jo ki niche diya gya hai.
Read Also : Blogger Se Country Domain Kaise Hataye?
Read Also : Blog Me Se Quick Edit Icon Kaise Hataye?

  • Sabse pahle blogger dashboard me Setting par click kare

  • Uske baad aap “+ setup a third-party URL for your blog” par click kare.
  • Iske bad apna domain name box me enter kare eg:- www.hindiidea.com

  • Ab Save par click kar de
  • Ab new tab me godaddy ka account login kijiye iske bad manage my domains par click kijiye.
  • Ab jis domain ko aapko add karna hai us par click kare
  • Dns Zone File par click kare aur ab Add Record par click kare
  • Ab aapke samne ek popup window open hogi usme CNAME (alias) select kare. Ab blogger ke page me jaye wha se pahla CNAME copy kar le uske bad Host me www fill kare.
  • Point to me ghs.google.com fill kare
  • TTL me jaise hai waise hi chhod de
  • Ab uske baad Add Another par click kar de
  • Ab CNAME (alias) select kare or blogger ke page me jakar DUSRA WALA CNAME KA LEFT SIDE wala part copy karke HOST me paste kar de
  • Fir se blogger ke page me jaye or wha se dusra wala CNAME KE RIGHT SIDE wala part copy karke point to me paste kar de or Finish par click kar de
  • Ab aapke samne iss image ki tarah ek window open hogi jisme Save Changes par click kar de
  • Is step me hame apne blogger blog ke liye A Record add karne honge jisse aapka Domain successfully parked ho jaye. A Record me ham 4 IPs add karte hai jaise aapne abhi upar CNAME add kiye the same usi process ko follow karna hai lekin isme hame A Record select karna hoga aur Host me @ aur Points to me Ip address bharne honge. Ye 4 Ips is prakar hai ye –

216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21

                                                216.239.38.21
In charo ips ko sabhi ko bharna hote hai ye kisi bhi other blog ya blogger ke liye different nahi hote hai, balki same hote hai. to chaliye pahla IP bharte hai –
A(Host) select kare.

Host me @ bhare.
Points to me first ip 216.239.32.21 bhare.
TTL 1 Hour hi rahne de.
Add Another par click kar de.
Add blogger ip
Important Note – Isi prakar charo IPs one by one add karte jana hai jaise maine upar 1 Ip bharkar bataya hai. Aur Last Fourth IP 216.239.38.21 bharne ke baad Finish button par click jarur kar de. Jab aap charo IP sahi se bhar chukenge tab aapki Zone File kuchh is tarah dikhai dene lagegi –
ARecord example
Ab aapke CNAME and A record successfully add ho gaye hai, Vaise to ye record 4 – 5 minuts me server par update ho jate hai Lekin dhyan rahe kabhi kabhi 10 – 24 hours tak ka bhi time lag jata hai.
Step- 6
Ab apne blogger me jaye aur save par click kar de.
Ab yadi “We have not been able to verify your authority to this domain. Error 12.“ is tarah ka error message dikhe to ghabrane ki bilkul jarurat nahi hai, 2 – 5 minuts me update ho jayega, Yadi fir bhi error dikhe to aapko kuchh ghante bhi wait karna hoga. Jab error nahi aayega to kuchh is tarah ka dikhai dega –
Custom domain added
  1. Isme Edit par click kariye.
  2. Ab “Redirect yourblog.com to www.yourblog.com” ke samne check box ko check markkar de.
  3. Iske baad save par click kar de.



Read Also :Blog Ka Traffic Kaise Badhaye?
Blogger me custom domain name kaise lagaye? Blogger me custom domain name kaise lagaye? Reviewed by Anonymous on February 22, 2017 Rating: 5

No comments:

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.