Namaskar dosoto ! AAj ke iss post me ham discuss karne wale hai ki kisi bhi state ka income cast and residence ka status kaise check karte hai. Khaskar ke ham yaha par jharkhand se related jankari dunga kyoki mai jharkhand state se belong karta hu. Ham iss blog par kewl aisi hi jankariya dete hai jo sahi and sudridh ho. sath hi sath ham ye bhi batayenge ki bina pragya kendra gye huwe certificate kaise download kare. Status ka matlab to aap jante hi honge ki application kaha tak pahucha hai kisse signature hua hai. Aapko to pata hi hoga ki SC/ST/OBC ke liye income cast and residence kitna jaruri hota hai. Ham aaplogo ko yahi suggestion denge ki ye tino certificate ko update bnwate rahe yani ki current certificate rakhe valid date wala certificate hi rakhe.
Income Cast And Residence Kyo Jaruri Hota Hai?
Income cast and residence certificate SC/ST/OBC ke liye bahut hi jaruri hota hai. Income se ye pata chalta hai ki aapka family income one year ka kitna hai. Scholarship ke liye aapko one year family income 1 lakhs se niche ka bnwana padega. Cast certificate jati ko represent karta hai or residence certificate niwas ko represent karta hai. Yani ki ye Person iss state ka niwasi hai.
Online Income Cast And Residence Certificate Kaise Banwaye?
Jaisa ki aap jante honge ab hamare prime minister sri Naredra Modi ji India ko digital bnane par jor de rahe hai. Yani ki india ka sabhi kam computer ke dwara karwane ja rahe hai aisi isthiti me aapko sanhi chij online banwani padegi. Online income cast and residence certificate bnawane ke liye aapke pas kuchh document honi chahiye jo ki niche diye gaye hai.
1. AADHAR CARD
2. KHATIHAN (1972 KE BAD KA)
3. CURRENT RASID (JAMIN KA)
4. MATRIC KA MARKSHEET
5. PASSPORT SIZE PHOTO
Agar aapke pas ye 5 documents hai to aap income,cast and residence ke liye apply kar sakte hai.
STEP 1 : Sabse pahle jharkhand ke kisi bhi pragya kendra ke pas jaye aur waha se income cast and residence bnawane ka form prapt kar le. agar aap dusre state se belong karte hai to aap apne state ke pragya kendra se sampark kare.
STEP 2 : Uske baad form ko bhare aur pragya kendra me upar diye gaye documents ke sath jama kar de (Agar aap apne block ke bahar ke pragya kendra se certificate ke liye apply karte hai to form par aapke gram panchayat ke mukhiya ka signature hona jaruri hai)
STEP 3 : Ab jab pragya kendra wale apply kar denge to aapko ek receipt printout denge ya aapka receiving number or date denge use dhyan se rakhe.
Kiosk Or Online Me Kya Difference Hai?
Yaha par kiosk ka matalab hota hai ki income cast and residence aur bhi bahut tarah ke praman patr aap apne block ke antargat aane wale pragya kendra se bnwa rahe hai. Aur agar aap block se bahar ke pragya kendra se document banwa rahe hai to wo online ke category me aa jayegi.
Status kaise Check Kare?
Jab aapke pas online apply krne ka rasid prapt ho jayega to aap apne certificate ka status check kar sakte hai.
STEP 1 : Sabse pahle aap service online ke portal par jaye.
STEP 2 : Uske Baad state select kare.
STEP 3 : Uske baad tracking ke option par click kare.
STEP 4 : Ab aapke samne ek pop-up window open hogi jisme "state government" Ko select kare. Uske baad state select kare.
STEP 5 : Uske baad income,cast and residence me se koi bhi select kare jo aapko check karna hai. Residence ke liye Local residence wala option select kare.
STEP 6 : Ab uske baad online/ kiosk slect kare.
STEP 7 : Ab aapko reference number enter krna hai jo ki aapke rasid me hai. For Example cast certificate ke liye JHCC/2017/185696 or Residence certificate ke liye JHRC/2017/185633 or Income certificate ke liye JHIC/2017/1111 iss prakar ke number aapke rasid me diye huwe honge use enter kare.
STEP 8 : Ab uske baad niche date select kare jo aapke rasid me applied date hai. aur captcha code ko sahi sahi fill kare uske baad submit par click kare.
Yaha par aapke status batate hai ki on hold ya under process me hai yani ki abhi aapka certificate complete nhi hua hai.
Certificates ko kaise download Kare?
Certificates agar finally approve ho gya hai to aap ise kahi se bhi download kar sakte hai. bahut se log ye sochte hai ki jaha se ham apply kiye hai kewal wahi se download kar sakte hai aisa kuchh nhi hai nhi to fir online ka fayda hi kya hoga.
STEP 1 : Sabse pahle aap apne certificates ka status check kare.
STEP 2 : Uske baad agar final approve ho gya hai to niche wale table ke line "view certificate" ka option milega uss par click karke certificate download kar sakte hai.
Mujhe umeed hai ki aapko ye post bahut hi achha laga hoga agar koi bhi problem ho to hmse comment ke through jarur puchhe ham aapke swal ka jwab dene ki koshish karenge. thank you.
Income Cast And Residence Certificate ka Status Kaise Check Kare Aur Ise Download Kaise Kare?
Reviewed by Anonymous
on
June 16, 2017
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare