SBI Internet Banking Online Kaise Activate Kare?

Dosto, namaskar aaj ke iss post me ham discuss karne wale hai ki SBI internet banking online ghar baithe kaise register kare. Ji han dosto bahut se log ye nahi jante hai ki ghar baithe SBI internet banking register kiya ja sakta hai.

SBI INTERNET BANKING KAISE REGISTER KARE

SBI internet banking register karne ke liye kya kya chahiye?

Dosto, ye bahut hi important hai ghar baithe SBI internet banking registeration ke liye kuchh chije aapke pas hone chahiye tabhi aap ghar baithe register kar sakte hai. Chaliye dekhte hai ki kya kya chahiye.

  1. Account Number
  2. CIF Number (jo passbook me diya huwa hota hai)
  3. Branch code (jo passbook me 5 digit ka hota hai. Bahut sare passbook me 2 digit ka hi hota hai jaise ki 61 to iske pahle aapko 3 zero lagana hoga jaise ki 00061)
  4. ATM Card
  5. Registered mobile number
  6. ATM Pin (jo ki aapka ATM ka 4 digit ka pin hota hai)
  7. Internet connection (internet connection thoda fast hona chahiye nahi to slow internet connection me bahut problem aa jata hai)
  8. Device (jaise ki android phone, computer, laptop etc. jisme internet chal sake)

SBI internet banking register karne ke steps

STEP 1: sabse pahle https://www.onlinesbi.com/ ke website par jaye or ha hamesha ek bat ka dhyan rakhe ki (https) laga huwa hona chahiye jo security ko show karta hai.

HTTPS SECURE


STEP 2 : Uske baad new registeration par click kare. Agar aapne apne branch se kit number liya hai to New registeration par click na kare.

SBI NEW REGISRATION


STEP 3 : Aba apse aapka detail manga jayega use fill kare jaise ki account number, CIF number, branch code, registered mobile number, country, bank.

SBI INTERNET BANKING REGISTRATION FORM


STEP 4 : Ab Captcha ko sahi sahi fill karke submit par click kare.


STEP 5 : ab aapke pas do option aayenge.

               1.  I have an ATM
               2. I don’t have an ATM
 Isme pahla wala option select kare fir submit par click kare

STEP 6 : ab aapka card detail manga jayega jisse ye sabit hoga ki ye aapka hi account hai or han aapke account se 1 rupees kata ja sakta hai.

Card detail me 16 digit card number, card holder’s name yani ki jiske name se account hai or card par expiry date hota hai uske baad ATM PIN uske baad proceed par click kare.


NOTE : Ek bat ka hamesha dhyan rakhe jab tak process ho raha hai tab tak refresh ya back button nahi press kare.


STEP 7 : Ab aapko temporary user name milega jise kahi likh le ye kuchh der ke liye hi valid hota hai.


STEP 8 : Uske baad fir se homepage yani ki www.onlinesbi.com ke page par jaye waha login par click kare. Uske baad aapko user name or access level code manga jayega. User name jo aapko temporary mila tha or access level code aapke registered mobile par SMS ke through send huwa hai. Dono ko enter karke submit par click kare.

TEMPORARRY USERNAME AND PASSWO9RD


STEP 9 : Uske baad aapko user name choose karne ke liye aayega aap apne man se username enter karke check kar sakte hai ki available hai ya nahi agar available hai to aap use submit kar sakte hai.


STEP 10 : Uske baad aapko password set karne aayega aap apna password set kar le.



Ab aapka registeration process complete ho gya. Agar isse related koi bhi question ho to hame comment box ke through jarur likhe ham aapke question ka answer dene ki koshish karenge.
SBI Internet Banking Online Kaise Activate Kare? SBI Internet Banking Online Kaise Activate Kare? Reviewed by Anonymous on June 13, 2017 Rating: 5

No comments:

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.