Dosto, Namaskar! Meta tag blog ke liye bahut hi jaruri hota hai isse google ya aur koi bhi search engine ko ye pta chal jata hai ki aapko kya show krana hai. jaise ki aapka blog ka naam, author ka naam etc. Aapne blog ko search engine me show karane ke liye meta tag bahut hi helpful hota hai. jab koi bhi person google search me hamare blog ka naam enter karta hai to hmara blog sabse pahle show hota hai jaise ki indiameearn ho raha hai. Aapko pta hona chahiye ki meta tag SEO ke hwale se bahut hi jaruri hota hai.
Read Also : Apne blog post ko google me 30 second me kaise show karaye?
Meta tag kya hai?
Dosto, meta tag me hamari blog ke bare me jankari di huyi hoti hai.
- jaise ki blog ka description
- blog keyword
- Author ka naam
- Language
- Country
Apne Blogger Me Meta Tag Kaise Add Kare?
Jaisa ki aapne upar me padh hi liya hoga ki meta tag kya hota hai ab jante hai ki meta tag kaise add karte hai blog me iske kuchh steps hai follow kare aur meta tag add kare.
- Sabse pahle niche di huyi code ko copy karke notepad me paste kar le uske baad red color ke text ko hatakar aap apna text likhe jaise ki aap apne blog ka description likhe aur description kewal 160 words me hi hona chahiye. Uske baad keyword likhe yani ki jis keyword par aap blogging karte hai jaise ki mai online make money, hindi blogging, computer knowledge etc par blogging karta hu.
- Uske baad apna blog ka description likhe uske baad blog ka keyword likhe aur uske baad apna naam likhe etc. aur ab iss code ko apne notepad se copy kar le
- Ab uske baad blogger dashboard me template > Edit HTML par click kare
- Ab uske baad code ke bich me kahi bhi mouse pointer click karke "CTRL + F" press kar. Uske baad "<head>" tag search kare
- Ab copy kiya hua code ko <head> tag ke niche paste kar de
- Aur uske baad Save template par click kar de
Read Also : Apne blog ka sitemap kaise banaye?
Read Also : Blog sitemap ko google search console me kaise submit kare?Mujhe umeed hai ki aapko ye post bahut hi achha lga hoga apna feedback hame comment ke through jarur de aur agar isse samabandhit koi bhi swal ho to hamse jarur puche. Dhanyawad.
Meta Tag Kya Hai? Blog Me Meta Tag Kaise Add Kare SEO Ke Liye?
Reviewed by Anonymous
on
February 23, 2017
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare