Google Font Blog Me Kaise Add Kare

Hello Dosto Namaskar ! Indiameearn me aapka ek bar phir se swagat hai. Aaj ke iss post me hum batane ja rhe hai ki Google font ko blog me kaise add kare? Google font kya hai? Let's see.


Google font ko blog me kaise add kare


Google font kya hai?


Google Font jaisa ki naam se hi pta chal rha hai ki Google ka Font hoga jo ki online website ke font ko change karne me help krta hai. For example, kabhi kabhi aapne dekha hoga ki hum MS Word me koi document bnate hai jo ki hindi font me likha hua hai. Aur wahi same file ko dusre computer me open kijiyega aur jab dusre computer me hindi font install nahi rahega to wo file ko aap nahi padh payenge. Mujhe lagta hai ki shayad kbhi aapne notice kiya hoga.

Same usi prakar Google font hmare file ko kisi bhi computer me online open hone me help krta hai. To aaj hum isi ke bare me bat krne wale hai ki Google font ko kaise blog or website me lagaye?


Google font ko blog me kaise add kare?


Step 1 : Sabse pahle Google Font ke website ko open kar lijiye uske baad jis bhi font ko add krna hai us font ke right corner me Add symbol that means plus symbol par click kar dijiye.


Choose google fonts


Step 2 : Ab uske baad niche me ek text likha hua show hoga jisme likha hua hoga n families selected us par click kar dijiye. Yaha par n ka matlab hai ki jitna font aap select karenge.

Step 3 : Ab isme do code show hoga jisme ki ek CSS hoga aur dusra link hoga. Mai ye bata dena chahta hun ki bahut sare blogger theme me pahle se hi link wala code available rhta hai. To ise aap apne blog theme me check kr le aur agar aapke blog me link wala code pahle se hai to usko rahne de aur CSS code ko kewal copy kare.

Agar aapke blog me link code nahi hai to sabse pahle link code ko copy kare aur Blog theme me <head> tag ke just niche paste kar de aur uske bad Save theme par click kar de.


link and css code


Step 4 : Ab apne blogger dashboard me jaye aur uske baad Theme option par click kare aur fir Customize option par click kare.

Step 5 : Ab uske baad Advanced option par click kare aur fir Add CSS option par click kare.

Step 6 : Uske baad code box me css code ko paste kar de aur fir Apply to Blog option par click kare jo ki right corner par rhta hai.



Iss post me maine bataya ki kaise aap google font ko apne blog me laga sakte hai. I hope ki aapko ye post bahut hi pasand aaya hoga. Ise share jarur kare taki aapke dosto ki bhi madad ho sake aur hume bhi kuchh help mil sake. Thank you Visit again.
Google Font Blog Me Kaise Add Kare Google Font Blog Me Kaise Add Kare Reviewed by Sumit Kumar Software Developer on November 16, 2017 Rating: 5

No comments:

Comment Rule :

1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.

2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare

Powered by Blogger.