Dosto, bidvertisers ek advertising site hai yani ki PPC site hai PPC ka matlab hota hai pay
per click. Agar koi hmare website par aata hai or bidvertisers ke add par click
karta hai to usse blogger ko paisa milta hai. Bidvertisers site lagbhag google
adsense ke time me hi start huyi thi jo ki advertising karne ke liye bnayi gyi
thi.
Read Also : Custom domain godaddy se kaise kharide?
Advertising kya hai?
Dosto, advertising apne business, website, blog etc. Ko
promotion krne ke jariya haijaisa ki aaplog dekhe honge ki jab vote hota hai
usse pahle leader log prachar karte hai thik usi tarah advertising hai jo ki
online prachar karta hai.
Read Also : Blog Sitemap Ko Google Search Console Me Kaise Submit Kare?
Read Also : blogger me custom domain lgane ke bad adsense ke account ko kaise upgrade kare?
Bidvertisers kam kaise karta hai or iss par account bnane ke liye kya kya chahiye?
Dosto, bidvertisers par log apne blog, business etc. Ke
promotion ke liye bidvertisers ko paisa pay karte hai or kahte hai ki hmara
website ya blog ka promotion kiya jay yani ki logo tak phuchya jay. Bidvertiser
unke business ko yani ki site ko dekhta hai aur usko uski category me add kar
deta hai. Jab koi us advertisers ke site par advertising ke through jata hai.
Jab koi us advertisers ke site par advertising ke through jata hai tab
publisher ko paise milte hai. Publisher yani ki blogger jo apne website me
bidvertiser code lagate hai) ko har mahine ke aakhiri tarikh ko unki paise unke
pas aate hai. Bidvertiser par account bnane ke liye aapke pas ek gmail
account,pan card, paypal account hona chahiye.
Read Also : Gmail Account Kaise Bnate Hai?
Read Also : Paypal kya hai? PayPal Me Bank Account Kaise Add Karte Hai?
Kya Bidvertisers free site ko support karta hai?
Dosto, pahle bidvertiser sabhi site ko support karta tha
lekin ab free site ko support nhi karta hai. Free site ka matlab jisme custom
domain nhi lga ho.
Read Also :Custom Domain Blogger Me Kaise Add Kare?
Bidvertisers me publisher account kaise bnate hai?
Dosto, bidvertisers me publishers account bnakar apne
website par ads show kra sakte hai uske kuchh steps hai jo aapko follow karne
hai.
- Sabse pahle bidvertisers ki site par jana hoga iski site par jane ke liye click kare (bidvertisers site)
- Ab uske baad “join now-it’s free” ki button par click kare. Ab aapke samne ek form wala window open hoga jisme apna sahi detail ko bhare
- Ab form fill up karne ke bad aapke email account par confirmation code send hoga usko form me add karke Continue par click kare
To dosto ab aapka bidvertisers account ban gya hai. Ab
aap iske code ko apne website ya blog me add karke paisa kama sakte hai.
Read Also : Blog Ka Traffic Kaise Badhaye?
Bidvertisers code ko website par kaise lgate hai?
Dosto, ab ye jan lijiye ki code ko blog par kaise lgate
hai.
- Sabse pahle apne account me Login kare login karne ke liye publisher select kare uske baad User Name Or Password enter kare or captcha code enter karke login par click kare.
- Ab uske baad Add New Bidvertiser par click kare
- Ab “Add New Bidvertiser Under New Domain” par click kare
- Ab aap ads ka title de (aap title me kuchh bhi likh sakte hai lekin ham to suggest krenge ki bidvertiser ads hi likhe kyoki aisa hmne likha tha to hmara bidvertiser account 1 minute me hi verify ho gya tha).
- Ab uske baad apne blog ka URL likhe (eg www.hindiidea.com)
- Ab uske bad apni bhasa select kare
- Ab category select kare jis topic par aapka website hai uske liye
- Ab uske bad sub-category select kare (iska matlab hai ki aapke blog par isi se related ads show honge)
- Ab finish par click kar de
- Ab uske baad bidvertiser center par click kare. Ab aap dekh sakte hai ki aapka website add ho chuka hai
- Ab agar aap apne hisab se ads ka size lgana chahte hai to apne site ko select karke choose template ka button par click karke size bna sakte hai
- Ab get code par click kare . ab aapke samne ek popup window open hogi jisme code hoga us code ko copy kar le uske baad us code ko apne blog me add kar le
- Ab apne blog me code add karne ke bad fir se bidvertiser wale page par aaye or verify ke button par click kare
- Ab uske baad aapko Captcha Code shi shi bharna hai or Verify ke button par click kar de
- Ab aapko message show hoga your site is verified aur ab aapke website ads show hone lgenge
Read Also : Blogger me Google Adsense Account Kaise Banate Hai?
Bidvertisers paisa kis madhyam se deta hai?
Dosto, bidvertiser bahut hi achha hai jo paypal ke
through $10 pay krta hai jab aapke account me $10 ho jayenge to aap usse paise
le sakte hai aur check ke through bhi paisa deta hai lekin iske liye aapke
account me $100 hona chahiye aur ye 2 desho ko hi check ke through paisa deta
hai india me abhi tak check ke through payment nahi hota hai.
Read Also :Blog Me Adsense Ko Kaise Add Karte Hai?
Bidvertiser kya hai? Bidvertisers ko website ya blog me kaise lagate hai?
Reviewed by Sumit Kumar Software Developer
on
December 23, 2016
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare