Apne Blog Post Ko 30 Second Me Google Search Me Kaise Laye? How to show your blog post in google search within 30 second?
Aaj mai is post ke jariye btane wala hu ki blog post ko
publish karne ke bad 30 second me google search me kaise laye. Jaisa ki aap
jante hi honge ki hrek blogger chahta hai ki hmara post google ke first page me
aaye isse traffic badhega or apni pahchan bhi badhegi. Google me sabhi koi apne
blog post ko lana chahta hai kyoki google duniya ka no 1 search engine hai.
Read Also : Apne Blogger me custom domain kaise add kare?
Apne Blog Post Ko 30 Second Me Google Search Me Kaise Laye?
Apne blog post ko google search ke homepage yani ki first
page me lane ke liye kuch step follow karna hoga. Iske liye aapka blog google
search console me verified hona chahiye or sath hi sath aapka blog ka sitemap
google search engine me submit hona chahiye.
Read Also : Apne Blog ka Sitemap Kaise bnaye?
Read Also : Blog sitemap ko google search console me kaise submit kare?
- Sabse pahle GoogleSearch Console me apne account Sign In kare or apni website par click kare.
- Ab apne website ke link par click kare
- Ab dashboard me Crawl par click kare
- Uske bad Fetch As Google par click kare
- Aapka blog link ke samne jo box hai usme post ka Permalink Yani Ki Link add kre jisko aap search me lana chahte hai or ye bhi dhyan rkhe ki link pura nhi add karna hai only .com/ ke bad jo hai usko add karna hai jaisa image me dikhaya gya hai.
- Uske bad Fetch par click kar de aur uske baad request indexing par click karna hai
- Ab aapke samne ek pop-up window open hoga jisme aapko reCAPTCHA pe tick karna hai or fir crawl only this URL par click karna hai
- Ab Go par click krna hai or sath hi sath ye bhi dhyan dena hai ki aapke jo post title hai kisi dusre website se match nhi krna chahiye nhi to bhut der ke bad google me aapka post show hoga.
Read Also :Blog ka traffic kaise badhaye?
Mujhe umeed hai ki aapko ye post bahut hi achha lga hoga apna feedback hame comment ke through jarur de aur agar isse samabandhit koi bhi swal ho to hamse jarur puche. Dhanyawad.
Apne Blog Post Ko 30 Second Me Google Search Me Kaise Laye? How to show your blog post in google search within 30 second?
Reviewed by Anonymous
on
February 23, 2017
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare