Aaj mai is post ke jariye btane wala hu ki VLC media
player ka use krke apne computer screen ko kaise record kre. Bhut se log
youtube par video upload krne ke liye apne screen ko record karte hai uske bad
us video file ko upload krte hai. VLC media player se aap free me screen record
kar sakte hai.
Read Also : Computer Se Temporarry File Kaise Delete Kare
Apne Computer Screen Ko Kaise Record Kare Free Me (How To Record Your Computer Screen)
Aapko apne computer screen ko record karne ke liye aapke
pas VLC media player install hona chahiye. Aagar apke pas VLC media
player ka software nhi hai to download par click kare or download karke
apne computer me install kar le. Uske bad kuch steps follow kare.
Read Also : Blogger Me Free Website Kaise Banaye
- Sabse pahle aap apne computer me VLC media player open kre uske bad media menu par click kare.
- Ab Open Capture device par click kare
- Ab aapke samne ek window open hogi jisme desktop select kare or desired frame rate for the capture ke samne 1 f/s se bdhakar 5 f.s kar le ya usse jyada bhi kar sakte hai
- Ab uske bad play button ke bagal wale cursor par click kare jisse ek list open hogi usme convert par click kare
- Ab aapke samne ek dusri window open hogi jisme aap apne file ka path de sakte hai jha par save karna hai apne file name ke sath .mp4 type karke save kare jaise ki merafile.mp4
- Ab start button par click kar de Aapka screen ab record hone lga hai
Read Also : SBI Missed Call Banking Kaise Register Kare
Recording Ko kaise close kare
- Recording close karne ke liye aapko VLC media player niche task bar se open krna hoga uske bad pause button par click krna hoga or fir upar right side kona me close button par click kar dena hoga
- Ab aap jha par apna video save kiye the usko play kar ke dekh sakte hai
Read Also : Whatsapp Me GIF Animation Image Kaise Bnaye
Mujhe umeed hai ki aapko ye post bahut hi achha lga hoga apna feedback hame comment ke through jarur de aur agar isse samabandhit koi bhi swal ho to hamse jarur puche. Dhanyawad.
APNE COMPUTER KI SCREEN KAISE RECORD KARE VLC MEDIA PLAYER SE
Reviewed by Anonymous
on
February 23, 2017
Rating:
No comments:
Comment Rule :
1. Comment me koi bhi link add na kare agar aapka link related koi problem hai to hamse contact kar sakte hai.
2. Comment me apne blog ka full link na de agar dena hai to example.com de sakte hai lekin isko select karke link paste na kare